Saturday, April 3, 2010

tumhari bahut yaad aayi.

bahut yaad aayi tumhari....
aaj tapti dopahar me jab ghar lauta..
bikhra kamra, salwati bistaar aur..
tumhari tasweer par jami ek parat.
dekha jab tumhari di ghadi, kalam aur kitaaben
ek chota sa rumaal, chandi ki athanni
kone me pada lunch box, aur ghujhiyon ka khali dabba.
karine se sazi bhagwaan ki murtiyaan aur...
samne jale huwe dhoop ke awsesh....
takiye ke khol par tumhari nakkashi,
aur mere gale ka kala dhaga...
dekha to badi yaad aayi tumhari.
din bhar ki hatasha ke baad lauta jo ghar,
rotiyon ki sondhi gandh ki kaun kahe,
ek glass thanda pani poochhne ko jab kai naa tha,
to tumhari badi yaad aayi Maa.
haan.. Badi shiddat se yaad aayi maa.

No comments:

Post a Comment

thanks 4 viewing.