एक खोज जारी है यहां, मन के अंदर और बाहर भी परिनिर्वाण की तालाश में, जैसे किसी बुद्ध की तरह। क्या पता किसी वैश्या के हाथों खीर की कटोरी में मिल जाए वजूद एक दिन यूं मुददतों से भटकते-2 उस तथागत या कि बुद्ध की तरह।
Saturday, April 3, 2010
jindagi ek mukhota hi to hai.
kya kahu..
pahle pahal laga naaraz hu tumse....
socha ki baat bhi na karu... aur kyon karu?
aapni duniya me khoye tum. kabhi kisi ki parwaah nahi karte.
kabhi ek kadam aage nahi badhate..
har kadam mai chalti hoon.. nazdeek aane ko aur tum fasle badhate ho.
Mai janta hoon yahi soch rahi hogi tum bar aksh kahi...
par halaat mazboor karte hai ki duriyon ko duri hi rahne diya jaye.
kai anam se rishte hote hai jindagi me.. jinko naam nahi diyaa ja sakta.
chahe tum ise mera darp kah lo . ya dar, ki koi ahankaar.
par mai aisa hi hoon.
bahti hawaon sa jiska kahi bhi rukna mumkin nahi...
par mere saropkaar hamesha maujood honge..
saanson ke wazood ke saath ghula hai mera wazood.
aur mai har sab tumse mila hua hoon kahi..
tumhari rooh me...
aazma kar dekho.
ye nakabposh to mere astitva ki parchhai bhar hai.
ham har kadam mukhoton se ghire ek shakl bhar hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
thanks 4 viewing.