Saturday, April 3, 2010

khamosh dariyaa

khamosh dariyaa har jagti subah ke saath ek uneendi si angarai le ye dariyaa nikalta hai..suraj ki satrangi kirano ke sang jaise jeet lega jahan saara...par jaate jaate us viraan kinare tak,lipat jata hai asamvedna ki chadron se.aur odh leta hai tanhai ke lihaaf.. mano chupa raha ho apna wajood.us kisi ek shaksh se jiske liye hazzaron waade kiye the khabhi...bhigi raaton se lekar tapati dupahri me, samay ki shilao ke paar.ek anaam si subah me yaad karta hua use.. dhoondhta raha is ajnabi sahar me.jo ek shaksh kahi so raha hai kai jaagi uneendi raaton me karwaten badalne ke baad.chalo ek sukun to hai us jism ki ujas me jo chehra damak raha hai...raat bhar yaad aayi.. ye soch kar hi mahak raha hai...mera kya ......????mai to ek khamosh dariyaan hoon.. bah jaaunga aage aise hi khamosh..dekhna tum ki kahin kal subah.. ye nami tumhare sirhaane na ho.aage din ka taap to hai hi pure din jalane ke liye,kya hota jo adhjagi aankhon se hi..ek lahar chura li hoti.ek jism jiska pata nahi... uski rooh ko thandhak mil jati.dariiyaan to dariyaa hai... khamoshi se bah jayega...tumhari bwehad suljhi jindagi me ek uljhi daastaan bankar rah jayega.

No comments:

Post a Comment

thanks 4 viewing.