Saturday, April 3, 2010

talash jari hai....

talash jaari hai is ajnabi shahar me.... apne wazood ki.koi mukkamal shaksh, koi dharti aur kisi Aasmaan ki.
har raat aankhon me ek sapna lekar sota hoon aur..
jaag jata hoon suraj ki pahli kiran ki naram roshni ke saath,
ki aaj fir dhoondh sakun apna wazood,jise maine kho diya.
lagta hai apne wazood ki talash me mai bhi ...
mai bhi kahi kho jaunga.. is bhid ka hissa ban kahi gum jaunga.
kya tumne dekha hai kahi mera wazood....
kahi ye tumhare sirhane to nahi, tumhari palkon me.
ya ki tumhari muskurahton me ya ki aansuon me.
tumhari yaadion... me ya fir tumhare bistar ki silwaton me.
mai tanha hoon magar yakin hai tanha nahi rahunga..
dhoondh loonga wazood aur jinda rahunga,
har aksh aaine me na ho tasweer meri par..
kya pata ki teri nigahon me jinda rahunga.

No comments:

Post a Comment

thanks 4 viewing.